Monday, March 16, 2009

EE software kaa hai?

Subah subah doodhwale ne guhar lagai
Ee software ka hai bhai?
Are kaa bataye kaise bataye
Such bolo to malik mare
Jhuth bole to parmatma na tare

Bhaiya 1 tin ka badha hai dabba
Uske andar kya hai ye to jane na mere abba
Bas itna tu samajh le murakh
Anguliyan chalate hain aur baccho ki roti laate hain

Fir dudhwale ne pucha
Kam Itna aasan hai
To gori mam ka kya pravdhan hai?

Are pagal tere ko akal nahi aayi
Nahi rahegi mam to kaise bajegi shehnai
Unhi ko dekh kar to grahak aate hain
Unke hi vajah se hum log khana khate hain

Agar ee bat hai to videshi ki kya saugat hai?
Are wahi mai bap hain
Vatan to apna aazad hai
Fir bhi hum gulami ki roti khaat hai

Office me hum Jab dudh lekar javat hain
Kauno kam nahi karata hai , sab baith ke batiyavat hain
Are yahi to hamari hai azab anokhi chaal
1 mazdur ka kam 10 na kar paye isliye hum 100 mazdur lagavat hain
1 aadmi kam karta hai baki 99 baith ke gulcharra udhavat hain.

Itna hai aasan , to 1 kripa kijiye
Hum na bechenge dudh, humko bhi huan naukri laga dijiye
Are bat to pate ki ki yar
Magar aajkal chal reha hai mandi ka emotional atyachar

Abhi dudh bech lo wahi accha hai
Kyunki aisa samay aaya hai
Software engineer ke pas bacha bas 1 kaccha hai..
Wo bhi pata nahi kab utar jaye
Jab outsourcing ka chuha use kutar jaye..

No comments:

Post a Comment